Dard minnat kash e dawa na hua,
Main na acha hua, bura na hua !
Jama karte ho kyon raqeebon ko,
Ek tamasha hua, gila na hua !
Hum kahan qismat aazmane jayein,
Tu hi jab khanjar aazma na hua !
Kitne sheerein hain tere lab ke raqeeb,
Gaaliyan kha ke be maza na hua !
Hai khabar garm un ke aane ki,
Aaj hi ghar mei boriya na hua !
Kia wo namrood ki khudai thi,
Bandagi mein mira bhala na hua !
Jan di, di hui usi ki thi,
Haq to yun hai ke haq ada na hua !
Zakhm gar dab gaya, lahu na thama,
Kam gar ruk gaya, rawaa na hua !
Kuch to parhiye ke log kehte hain,
Aa Ghalib ghazal sara na hua !!
-Mirza Ghalib-
No comments:
Post a Comment